Wednesday, September 30, 2015


Kyon tujhi ko dekhna chahati hain meri aankhein..
Kyon khamoshiyaan karti hain teri baatein..
Kyon itna chahane laga hoon tujhko main..
Ki taare ginte huye kat ti hain meri raatein..
Tu hi kuchh bata de kya main karoon inka..
Har pal jo mujhe tadpaati hain teri yaadein..!!!

Tuesday, September 15, 2015

Bichadte hue yaad de jayenge,
Khud sone se pehle aapko khawab de jayenge,
Apko gila hai ki hum baat nahi karte,
Sanso ke rukne se pehle har jawab de jayenge…

Saturday, September 12, 2015

Self

Mujhe Ab Nind Ki Talash Nahi,
Ab Raato Ko Jaagna Achha Lagta Hai,
Mujhe Nahi Malum Ki Wo Meri,
Kismat Me Hai Ya Nahi,
Magar Khuda Se Use Maagna Achha Lagta Hai,
Jane Mujhe Haq Hai Ya Nai,
Par Uski Apni Jaan Se Jyada Parvaah Karna Achha Lagta Hai,
Use Pyaar Karna Sahi Hai Ya Nahi,
Par Iss Ehsaas Ko Jeena Achha Lagta Hai,
Kabhi Hum Saath Honge Ya Nahi,
Par Ye Khawaab Dekhna Achha Lagta Hai,
Wo Mera Hai Ya Nahi,
Par Use Apna Kehna Achha Lagta Hai,
Dil Ko Behlaya Bahut Par Manta Hi Nahi,
Shayad Ise Bhi Uske Liye Dhadkna Achha Lagta Hai